Explanation:
HTML tags wo special keywords hote hain jo web page ka structure aur formatting define karte hain. Har tag angle brackets < > ke andar likha jata hai. Example ke liye <p> ek paragraph start karta hai.
Tags ke bina browser ko ye samajhna mushkil hota hai ki text, image, ya button ko kaise dikhana hai.
Self-closing Tags: Inhe close karne ki jarurat nahi hoti. Ye khudme complete hote hain. Jaise <br> line break ke liye.
III. Nesting Rules aur Case Sensitivity
Explanation:
Nesting: Jab ek tag ke andar doosra tag lagaya jata hai to is process ko nesting kehte hain. Nesting me hamesha jo tag baad me open hua hai, usko pehle close karte hain (LIFO - Last In First Out).
Case Sensitivity: HTML tags case-insensitive hote hain, yaani <HTML> ya <html> dono chalega. Lekin best practice hai ki hamesha lowercase ka use karein.